Friday, August 14, 2009

Sapno ki to abi sez hi saj rahi thi, umeedon ki mauj abi karwat lene hi wali thi, zindagi ki khushiyan band mutthi se nikalne ko taiyaar thi....
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Ajnabe raaste par chalte hue sab kuch kitna haseen nazar aa raha tha, pal-pal mein kya unmadi ehsaas tha, kissie se guftagu karne ko jee chahta tha....
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Chand ki chandni mein ek ruhaani sukoon tha, sooraj ki tapish mein anjana junoon tha, mein ab gaana bhi gane laga tha...
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Meri aarzoo ko apni manzil dikh rahi thi, Zindagi ko naya aagaaz mil raha tha, Armaan bhi machalne lage the...
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Monday, May 11, 2009

Zindagi itni mukhtassar bhi nahi...

Adhoori shaam ke doobte saaye mein baithi us benaam zindagi ko dekh raha hun
Jiski aakhon mein hai hazaaron khwahishen, par umeed ka ek katra bhi nahi...

Hothon pe hai jiske kuch ankahee kahania
Liye hai jo dil mein tamaam jazbaat, par muh mein zabaan hi nahi...

Chala jaa raha hai us raah par, benoor
Jis raah mein bichi hai pattharon ki chaadar, par mukammal manzil tak nahi...

Dekh raha hai jo is jahan mein apni darkinaar hoti shaksiyat ko
Ji raha hai mufalisi ki zindagi, par shikan ki ek lakeer tak nahi...

Taqdeer mein shayad tere likhi ho yeh tapish bhari rahguzar, aye saail
Aur khwabon mein ho bhari ranjishi kasak, par zindagi itni mukhtassar bhi nahi...

Saturday, September 15, 2007

Rhyming!! isnt it?

Yeh raat ka hai yar teri mohabbat ka suroor
Is deewane ko hai ab teri har baat manzoor!!


Deewangi mein teri kuch is kadr khoya
Na din ko chain mila, na raat ko soya!!


Beqarari hai, na hai ab is dil pe ikhtiyaar
Jab se kiye hain tune teere nazar se vaar!!

pata nhi kyun likhe

Mehroom hain meri sansen teri maujoodgi ke ehsaas se
Mayoos hai meri tamanna tere wafa ke iqraar se!
Fir bhi dooba hai yeh dil tere khayaal mein aise
Meri har saans tere naam likhi ho jaise!!


Na jane kab teri mohabbat ka izhaar hoga
Ab to bas intezaar hai us manzar ka jab tera deedar hoga!!

kuch sher yaaron ke naam

Poochta hun in hawaon se, pata hun sirf tera naam
Aye dost meri zindagi ke kuch pal aaj fir tujh par qurbaan!!


Jo armaan the kabhie, ab haqeeqat ho gaye
tumse faaslon ki wajh bann gaye!!


Woh lamhe saath Tumhare, mere gum ke raqeeb (dushman) hain
Khuda kasam meri zindagi ka naseeb hain!!


Meri aarzoo ne payee zindagi ki khushiyan saari
Jab mili qaayanat mein sabse pyari dosti tumhari!!

Thursday, September 13, 2007

kuch yaadein XIMB se

Kuch pal zindagi ke, kuch pal ki zindagi
Bas yeh saugaat hi le jaa raha hun!!




Kuch armaan the 'mere'
mukammal ho gaye!
Kuch lamhon ka saath tha 'tumhara'
zindagi ka haasil bann gaye!
Kuch jazbaat the 'hamare'
aadat bann gaye!!





Meri zindagi ke kuch haseen palon ka mukhtassar (small) sa nazrana pesh hai...

Beganoh si mulaqat ke baad dosti ki shuruyat, ab zindagi bhar ka yaaranah
le jaa raha hun!!
Yaadon ki syahi se namm in fizaaon mien likha tumhara naam
le jaa raha hun!!
Mehfilon mein jaam se jaam takrane ka manzar, woh dilkhush nagmon ka mushayarah
le jaa raha hun!!
Madhoshi se bhari 'JLT' ki shaamon ka nazaarah, humdum doston ke lateefey
le jaa raha hun!!
Bin baat thahake lagane ki aadat, be-sir-pair ki sharaaraton ke silsilay
le jaa raha hun!!
Hawa ke jhokon se jhoomte "Ashok" ke pedon ki sarsaraahat, Chandni raat mein ped ki tooti shaakh par ghoomti masoom parchhaiyon ki tasveer
le jaa raha hun!!
Kaamyabi paane ki hasraton mein doobe khwabon ki haqeeqat
Judaai ke waqt narm hoti sanson mein chhupe jazbaaton ka ehsaas
le jaa raha hun!!


Ab hai ek haseen safar ka aagaz, par itna samajh lena aye mere yaar
chahe jitne lambe hon faasle,
Hum fir milenge!!

Tuesday, September 11, 2007

Teri khushboo

Bahar ki sardi, andar ek garmi ka ehsaas karati hai
Khoobsoorat teri aankhen, dil ko ruhani sukoon de jati hain!
Meri sansen teri chaahat ki hasrat mein narm padh jaati hain
Tere jism ki khushboo ke aage raat ki chandni fiki nazar aati hai!!

Jazbaa

Aankhon mein liye toofani junoon karo to kuch aisa karo, duniya dekhe!
Jigar mein liye faulaadi taaqat udo to aise udo, zamaana hil jaaye!
Do pal zindagi ke jiyo to aise jiyo, qudrat sharmaaye!
Chattani Irade liye aise kadam badhao, aasmaan nap jaaye!!

Sabr

Meri sanson ko hai teri sanson ki tamanna
khushboo nahi milti!
Mere nagmon ko hai apni manzil ka taqazaah
lafz nahi milte!
Mere khwabon mein hai teri shaksiyat ka tassawur
chehra nahi milta!
Talaash raha hun tujhe shab-o-sahar
pehchaan nahi milti!!

Intezaar

Intezaar mein tere zamane beet gaye
Ashkon ke paimaane chalak gaye!
Teri yaadon ke aagosh mein jee raha hun
Waqt ke faaslon ko gin raha hun!!