Saturday, September 15, 2007

Rhyming!! isnt it?

Yeh raat ka hai yar teri mohabbat ka suroor
Is deewane ko hai ab teri har baat manzoor!!


Deewangi mein teri kuch is kadr khoya
Na din ko chain mila, na raat ko soya!!


Beqarari hai, na hai ab is dil pe ikhtiyaar
Jab se kiye hain tune teere nazar se vaar!!

pata nhi kyun likhe

Mehroom hain meri sansen teri maujoodgi ke ehsaas se
Mayoos hai meri tamanna tere wafa ke iqraar se!
Fir bhi dooba hai yeh dil tere khayaal mein aise
Meri har saans tere naam likhi ho jaise!!


Na jane kab teri mohabbat ka izhaar hoga
Ab to bas intezaar hai us manzar ka jab tera deedar hoga!!

kuch sher yaaron ke naam

Poochta hun in hawaon se, pata hun sirf tera naam
Aye dost meri zindagi ke kuch pal aaj fir tujh par qurbaan!!


Jo armaan the kabhie, ab haqeeqat ho gaye
tumse faaslon ki wajh bann gaye!!


Woh lamhe saath Tumhare, mere gum ke raqeeb (dushman) hain
Khuda kasam meri zindagi ka naseeb hain!!


Meri aarzoo ne payee zindagi ki khushiyan saari
Jab mili qaayanat mein sabse pyari dosti tumhari!!

Thursday, September 13, 2007

kuch yaadein XIMB se

Kuch pal zindagi ke, kuch pal ki zindagi
Bas yeh saugaat hi le jaa raha hun!!




Kuch armaan the 'mere'
mukammal ho gaye!
Kuch lamhon ka saath tha 'tumhara'
zindagi ka haasil bann gaye!
Kuch jazbaat the 'hamare'
aadat bann gaye!!





Meri zindagi ke kuch haseen palon ka mukhtassar (small) sa nazrana pesh hai...

Beganoh si mulaqat ke baad dosti ki shuruyat, ab zindagi bhar ka yaaranah
le jaa raha hun!!
Yaadon ki syahi se namm in fizaaon mien likha tumhara naam
le jaa raha hun!!
Mehfilon mein jaam se jaam takrane ka manzar, woh dilkhush nagmon ka mushayarah
le jaa raha hun!!
Madhoshi se bhari 'JLT' ki shaamon ka nazaarah, humdum doston ke lateefey
le jaa raha hun!!
Bin baat thahake lagane ki aadat, be-sir-pair ki sharaaraton ke silsilay
le jaa raha hun!!
Hawa ke jhokon se jhoomte "Ashok" ke pedon ki sarsaraahat, Chandni raat mein ped ki tooti shaakh par ghoomti masoom parchhaiyon ki tasveer
le jaa raha hun!!
Kaamyabi paane ki hasraton mein doobe khwabon ki haqeeqat
Judaai ke waqt narm hoti sanson mein chhupe jazbaaton ka ehsaas
le jaa raha hun!!


Ab hai ek haseen safar ka aagaz, par itna samajh lena aye mere yaar
chahe jitne lambe hon faasle,
Hum fir milenge!!

Tuesday, September 11, 2007

Teri khushboo

Bahar ki sardi, andar ek garmi ka ehsaas karati hai
Khoobsoorat teri aankhen, dil ko ruhani sukoon de jati hain!
Meri sansen teri chaahat ki hasrat mein narm padh jaati hain
Tere jism ki khushboo ke aage raat ki chandni fiki nazar aati hai!!

Jazbaa

Aankhon mein liye toofani junoon karo to kuch aisa karo, duniya dekhe!
Jigar mein liye faulaadi taaqat udo to aise udo, zamaana hil jaaye!
Do pal zindagi ke jiyo to aise jiyo, qudrat sharmaaye!
Chattani Irade liye aise kadam badhao, aasmaan nap jaaye!!

Sabr

Meri sanson ko hai teri sanson ki tamanna
khushboo nahi milti!
Mere nagmon ko hai apni manzil ka taqazaah
lafz nahi milte!
Mere khwabon mein hai teri shaksiyat ka tassawur
chehra nahi milta!
Talaash raha hun tujhe shab-o-sahar
pehchaan nahi milti!!

Intezaar

Intezaar mein tere zamane beet gaye
Ashkon ke paimaane chalak gaye!
Teri yaadon ke aagosh mein jee raha hun
Waqt ke faaslon ko gin raha hun!!

Ishara

Zindagi ki tamaam khushiyaan band mutthi se nikalne ko betaab hain
Meri umeed ko tere ek adad ishaare ka intezaar hai!!

Maahjabeen

Dil-e-nadaan ek nazar dekh tujhe lene ki mubarak khwaish karta hai
harpal teri yaadon ke saaye mein jeeta hai!
Aasmaan se utri aye 'Maah-jabeen'
aarzoo is dil ki muyassar karo haseen!!

Teri khatir

Chand mayano mein lipti hai zindagi
kuch faislon ki khatir!
Chand lamhe jeeta hun zindagi
kuch khushiyon ki khatir!
Mukammal jahan paa lene ki tamanna hai
tujh par luta dene ki khatir!
Fanaa ho jaana chahta hun
teri ek muskaan ki khatir!!

Sunday, September 9, 2007

Tera Khayaal

Chandni raat mein'chameli' ke phoolon ki bhini-bhini khushboo jab mere baagiche ko mehkaati hai
tab tera khayaal aata hai!
Saagar kinare baithe hue jab ek 'masoom' lehar mere baalon ko geela kar jaati hai
tab sirf tera khayaal aata hai!
Subah-subah jab gulaab ke phoolon pad padi hue pakeezaah 'shabnam' (dew) ke deedar hote hain
tab tera khayaal aata hai!
Kashmir ki haseen vaadiyon mein, barf ki 'makhmali' chaadar par ghoomte hue
tera khayaal aata hai!
Tere khayaalon mein bheege 'jazbaaton' par jab kissie ke aane ki aahat sunta hun
tab tera khayaal aata hai!
Kaamyabi paane ki mukammal koshish ke baad dheere-dheere narm padhti sanson ka ehsaas hota hai
tab tera khayaal aata hai!
Neen mein, Sahar mein, Sar-e-shaam, Chilman ki parchaayee mein, Beqarari mein
sirf tera khayaal aata hai!!

Kuch Aise hi!

Aise hi utar deta hun kaagaz pe kuch jazbaat
Umeed hai tum kabhie to gaur farmaaoge!!

Rakh ke dekho aaj apne dil pe haath
Naam mera hi dhadakta paaoge!!

Teri Yaad

Aaj subah jab dhund ki faqat safed chaadar, jannat se zameen par aayee
Saath mein laayee teri yaadon ka haseen manzar!!

Tab mere dil ne kuch Nagme keh diye
Kaagaz ke kuch panne 'Syah' se fir narm kar diye!!

Khwahish

Choti si thi yeh zindagi
choti-choti thi tammanayein!
Bas tujhe paane ki khwahish le baitha
Khuda se yeh namumkin farmaayish kar baitha!!

First Shayari

Galiyon mein jab tera zikr aaya to mein kuch keh na paaya, ke ek kasak thi baaki!
Jab tujhe un galiyon mein paaya to keh na paaya, ke ek jhijhak thi baaki!!



Un raaston mein, Un galiyon mein teri aahat si mehsoos hoti hai
Tujhe ek pal dekh lene ki chahat hoti hai!
Besabr hai yeh dil tere deedaar ki khaatir
Tujhe khuda se chheen lene ki kavayat hoti hai!!