Friday, August 14, 2009

Sapno ki to abi sez hi saj rahi thi, umeedon ki mauj abi karwat lene hi wali thi, zindagi ki khushiyan band mutthi se nikalne ko taiyaar thi....
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Ajnabe raaste par chalte hue sab kuch kitna haseen nazar aa raha tha, pal-pal mein kya unmadi ehsaas tha, kissie se guftagu karne ko jee chahta tha....
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Chand ki chandni mein ek ruhaani sukoon tha, sooraj ki tapish mein anjana junoon tha, mein ab gaana bhi gane laga tha...
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Meri aarzoo ko apni manzil dikh rahi thi, Zindagi ko naya aagaaz mil raha tha, Armaan bhi machalne lage the...
phir aisa kya hua sab kuch khatam ho gaya!!

Monday, May 11, 2009

Zindagi itni mukhtassar bhi nahi...

Adhoori shaam ke doobte saaye mein baithi us benaam zindagi ko dekh raha hun
Jiski aakhon mein hai hazaaron khwahishen, par umeed ka ek katra bhi nahi...

Hothon pe hai jiske kuch ankahee kahania
Liye hai jo dil mein tamaam jazbaat, par muh mein zabaan hi nahi...

Chala jaa raha hai us raah par, benoor
Jis raah mein bichi hai pattharon ki chaadar, par mukammal manzil tak nahi...

Dekh raha hai jo is jahan mein apni darkinaar hoti shaksiyat ko
Ji raha hai mufalisi ki zindagi, par shikan ki ek lakeer tak nahi...

Taqdeer mein shayad tere likhi ho yeh tapish bhari rahguzar, aye saail
Aur khwabon mein ho bhari ranjishi kasak, par zindagi itni mukhtassar bhi nahi...